Shishe Ka Aadmi Hun Meri Zindagi Hai Kya

shishe ka aadmi hun meri zindagi hai kya

patthar hain sab ke hath mein mujh ko kami hai kya

ab shahr mein wo phul se chehre nahin rahe

kaisi lagi hai aag ye basti hui hai kya

main jal raha hun aur koi dekhta nahin

aankhen hain sab ke pas magar bebasi hai kya

tum dost ho to mujh se zara dushmani karo

kuchh talKHiyan na hon to bhala dosti hai kya

ai gardish-e-talash na manzil na rasta

mera junun hai kya meri aawargi hai kya

KHush ho ke har fareb zamane ka kha liya

ye dil hi jaanta hai ki dil par bani hai kya

do bol dil ke hain jo har ek dil ko chhu saken

ai 'ashk' warna sher hain kya shairi hai kya

(1165) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shishe Ka Aadmi Hun Meri Zindagi Hai Kya In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Shishe Ka Aadmi Hun Meri Zindagi Hai Kya is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Shishe Ka Aadmi Hun Meri Zindagi Hai Kya for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Shishe Ka Aadmi Hun Meri Zindagi Hai Kya in PDF.