Uski Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo

us ki ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

dasht mein tanha hun main aur shahr mein tanha hai wo

main bhi kaisa aaina hun aaina-dar-aina

dur tak chehra-ba-chehra bas nazar aata hai wo

us ki KHush-bu se mahak kar phul ban jata hai dil

mausam-e-gul ki tarah aata hai wo jata hai wo

zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar

is safar mein bar-ha mil kar bichhaD jata hai wo

KHwab kya hai ek khanDar hai ye khanDar kitna hasin

is khanDar mein sair karne ke liye aata hai wo

main sarapa aarzu hun aarzu-e-na-tamam

mujh ko har manzil se aage ki KHabar deta hai wo

husn kya hai ek ghazal hai 'ashk' ek taza ghazal

jam hai mina hai wo saghar hai wo sahba hai wo

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Uski Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Uski Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Uski Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo in PDF.