KHyal-e-bad Se Hama-waqt Ijtinab Karo

KHyal-e-bad se hama-waqt ijtinab karo

faza-e-shahr ko danista mat KHarab karo

jahan mein aae ho do din ki zindagi le kar

har ek mahaz pe tum us ko kaamyab karo

tamam shahr hai Duba hua andhere mein

tum apne chand se chehre ko be-naqab karo

idhar KHulus udhar bughz aur nafrat hai

aziz kya hai tumhein is ka intiKHab karo

jo tum ne mujh ko diya aur main ne tum ko diya

tum us ka baiTh ke chaupal mein hisab karo

hijab azmat-e-insaiyat ka zamin hai

raho kahin bhi pa pabandi-e-hijab karo

agar watan se mohabbat hai tum ko ai 'ibrat'

to paida azm se tum sabz inqalab karo

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHyal-e-bad Se Hama-waqt Ijtinab Karo In English By Famous Poet Ibrat Bahraichi. KHyal-e-bad Se Hama-waqt Ijtinab Karo is written by Ibrat Bahraichi. Read famous Poem KHyal-e-bad Se Hama-waqt Ijtinab Karo for youth and Student by Ibrat Bahraichi. Free Download KHyal-e-bad Se Hama-waqt Ijtinab Karo in PDF.