Dekh Na Is Tarah Guzar Arsa-e-chashm Se Mujhe

dekh na is tarah guzar arsa-e-chashm se mujhe

fursat-e-did ho na ho mohlat-e-KHwab de mujhe

bas-ki guzishtani hai waqt bas-ki shikastani hai dil

KHwab koi dikha ki jo yaad na aa sake mujhe

KHam hi rakh ke puKHtagi shakl hai ek shikast ki

aatish-e-wasl ki jagah KHak-e-firaq de mujhe

han ai ghubar-e-ashna main bhi tha ham-safar tera

pi gain manzilen tujhe kha gae raste mujhe

der se ro nahin saka dur hun so nahin saka

gham jo rula sake mujhe sam jo sula sake mujhe

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Na Is Tarah Guzar Arsa-e-chashm Se Mujhe In English By Famous Poet Idris Babar. Dekh Na Is Tarah Guzar Arsa-e-chashm Se Mujhe is written by Idris Babar. Read famous Poem Dekh Na Is Tarah Guzar Arsa-e-chashm Se Mujhe for youth and Student by Idris Babar. Free Download Dekh Na Is Tarah Guzar Arsa-e-chashm Se Mujhe in PDF.