Is Se Pahle Ki Zamin-zad Shararat Kar Jaen

is se pahle ki zamin-zad shararat kar jaen

hum sitaron ne ye socha hai ki hijrat kar jaen

daulat-e-KHwab hamare jo kisi kaam na aai

ab kisi ko nahin milne ki wasiyyat kar jaen

dahr se hum yunhi be-kar chale jate the

phir ye socha ki chalo ek mohabbat kar jaen

ek zara waqt mayassar ho to aa kar mere dost

dil mein khilte hue phulon ko nasihat kar jaen

un hawa-KHwahon se kahna ki zara sham Dhale

aaen aur bazm-e-charaghan ki sadarat kar jaen

dil ki ek ek KHarabi ka sabab jaante hain

phir bhi mumkin hai ki hum tum se murawwat kar jaen

shahr ke baad to sahra tha miyan KHair hui

dasht ke par bhala kya hai ki wahshat kar jaen

reg-e-dil mein kai nadida parinde bhi hain dafn

sochte honge ki dariya ki ziyarat kar jaen

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Se Pahle Ki Zamin-zad Shararat Kar Jaen In English By Famous Poet Idris Babar. Is Se Pahle Ki Zamin-zad Shararat Kar Jaen is written by Idris Babar. Read famous Poem Is Se Pahle Ki Zamin-zad Shararat Kar Jaen for youth and Student by Idris Babar. Free Download Is Se Pahle Ki Zamin-zad Shararat Kar Jaen in PDF.