Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai

kisi ke hath kahan ye KHazana aata hai

mere aziz ko har ek bahana aata hai

zara sa mil ke dikhao ki aise milte hain

bahut pata hai tumhein chhoD jaana aata hai

sitare dekh ke jalte hain aankhen malte hain

ek aadmi liye sham-e-fasana aata hai

abhi jazire pe hum tum nae nae to hain dost

Daro nahin mujhe sab kuchh banana aata hai

yahan charagh se aage charagh jalta nahin

faqat gharane ke pichhe gharana aata hai

ye baat chalti hai sina-ba-sina chalti hai

wo sath aata hai shana-ba-shana aata hai

gulab cinema se pahle chand bagh ke baad

utar paDunga jahan karKHana aata hai

ye kah ke us ne semester break kar Dala

suna tha aap ko likhna likhana aata hai

zamane ho gae dariya to kah gaya tha mujhe

bas ek mauj ko kar ke rawana aata hai

chhalak na jae mera ranj meri aankhon se

tumhein to apni KHushi ko chhupana aana hai

wo roz bhar ke KHalai jahaz uDate phiren

hamein bhi raj ke tamasKHur uDana aata hai

pachas mil hai KHushki se bahriya-town

bas ek ghanTe mein achchha zamana aata hai

break-dance sikhaya hai naw ne dil ko

hawa ka git samundar ko gana aata hai

mujhe defence ki lingua-franca nain aati

tumhein to sadr ka qaumi tarana aata hai

mujhe to KHair zamin ki zaban nahin aati

tumhein mirriKH ka qaumi tarana aata hai

(1400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai In English By Famous Poet Idris Babar. Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai is written by Idris Babar. Read famous Poem Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai for youth and Student by Idris Babar. Free Download Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai in PDF.