Rabt Asiron Ko Abhi Us Gul-e-tar Se Kam Hai

rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai

ek raKHna sa hai diwar mein dar se kam hai

harf ki lau main udhar aur baDha deta hun

aap batlaen to ye KHwab jidhar se kam hai

hath duniya ka bhi hai dil ki KHarabi mein bahut

phir bhi ai dost teri ek nazar se kam hai

soch lo main bhi hua chup to giran guzrega

ye andhera jo mere shor o sharar se kam hai

wo bujha jae to ye dil ko jala de phir se

sham hi kaun si rahat mein sahar se kam hai

KHak itni na uDaen to hamein bhi 'babar'

dasht achchha hai ki virani mein ghar se kam hai

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rabt Asiron Ko Abhi Us Gul-e-tar Se Kam Hai In English By Famous Poet Idris Babar. Rabt Asiron Ko Abhi Us Gul-e-tar Se Kam Hai is written by Idris Babar. Read famous Poem Rabt Asiron Ko Abhi Us Gul-e-tar Se Kam Hai for youth and Student by Idris Babar. Free Download Rabt Asiron Ko Abhi Us Gul-e-tar Se Kam Hai in PDF.