Bala Nai Koi Palun Agar Ijazat Ho

bala nai koi palun agar ijazat ho

junun ko shauq bana lun agar ijazat ho

nigar-KHana-e-hasti ke aainon mein zara

main apna aks saja lun agar ijazat ho

sharab-e-husn mein masti hai be-niyazi ki

KHudi ke shishe mein Dhaalun agar ijazat ho

hamari tum se mulaqat ho bhi sakti hai

main koi rah nikalun agar ijazat ho

bahut dinon se hain uryan-badan KHayal mere

rida-e-harf uDha lun agar ijazat ho

wo tishnagi jise tum salsabil kahte ho

labon pe main bhi uTha lun agar ijazat ho

nazar zuhur ke jin tajrabon se guzri hai

kabhi kisi ko bata lun agar ijazat ho

kisi se dil hi nahin mil saka 'shahab' to ab

nazar tumhi se mila lun agar ijazat ho

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bala Nai Koi Palun Agar Ijazat Ho In English By Famous Poet Iffat Abbas. Bala Nai Koi Palun Agar Ijazat Ho is written by Iffat Abbas. Read famous Poem Bala Nai Koi Palun Agar Ijazat Ho for youth and Student by Iffat Abbas. Free Download Bala Nai Koi Palun Agar Ijazat Ho in PDF.