Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya

nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya

haqiqaton ke dark se farar kar liya gaya

quyud-e-agahi se jab sahm gain jibillaten

nazar ke gird rang ka hisar kar liya gaya

shuhud ki jo sath pe ananiyat ka shor uTha

to daman-e-KHudi ko tar-tar kar liya gaya

guman hua ki rasta abhi meri nazar mein hai

sharir shutr-nafs be-mahaar kar liya gaya

jo log dil ki uljhanon mein gharq the KHamosh the

unhen bhi ahl-e-jazb mein shumar kar liya gaya

rah-e-talab ki saKHtiyon ke shikwe lab-ba-lab hue

surur-e-jidd-o-jahd ko KHumar kar liya gaya

chale kabhi kabhi udhar se azmaton ke qafile

wafa ka azm jin se paedar kar liya gaya

wo ishq tha ki bandagi zaruraten ki aagahi

bas ek rabt tha jo ustuwar kar liya gaya

waraq waraq rumuz-e-agahi ke the likhe hue

kutub ko bar-e-pusht-bar-himar kar liya gaya

usul aur furua sab 'shahab' ek taraf hue

ajab nizam-e-zist iKHtiyar kar liya gaya

(1154) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya In English By Famous Poet Iffat Abbas. Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya is written by Iffat Abbas. Read famous Poem Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya for youth and Student by Iffat Abbas. Free Download Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya in PDF.