Rah-e-wafa Se Main Ek Gam Bhi HaTa To Nahin

rah-e-wafa se main ek gam bhi haTa to nahin

lahuluhan hua hun magar Dara to nahin

nazar mein shaiba-e-KHauf kis liye aae

ye sail-e-jabr hujum-e-barhana-pa to nahin

khinchaw hota hai mahsus KHun ke qatron mein

ye ruh-e-asr kahin ruh-e-karbala to nahin

ajab tanaw hai mahaul mein kahen kis se

kahin pe aaj koi hadsa hua to nahin

labon pe harf-e-wafa hai to phir nigahon mein

ye KHauf kyun ho kahin koi dekhta to nahin

(679) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Rah-e-wafa Se Main Ek Gam Bhi HaTa To Nahin In English By Famous Poet Iftikhar Aazmi. Rah-e-wafa Se Main Ek Gam Bhi HaTa To Nahin is written by Iftikhar Aazmi. Read famous Poem Rah-e-wafa Se Main Ek Gam Bhi HaTa To Nahin for youth and Student by Iftikhar Aazmi. Free Download Rah-e-wafa Se Main Ek Gam Bhi HaTa To Nahin in PDF.