Ab Bhi Tauhin-e-itaat Nahin Hogi Humse

ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi hum se

dil nahin hoga to baiat nahin hogi hum se

roz ek taza qasida nai tashbib ke sath

rizq bar-haq hai ye KHidmat nahin hogi hum se

dil ke mabud jabinon ke KHudai se alag

aise aalam mein ibaadat nahin hogi hum se

ujrat-e-ishq wafa hai to hum aise mazdur

kuchh bhi kar lenge ye mehnat nahin hogi hum se

har nai nasl ko ek taza madine ki talash

sahibo ab koi hijrat nahin hogi hum se

suKHan-arai ki surat to nikal sakti hai

par ye chakki ki mashaqqat nahin hogi hum se

(2325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Bhi Tauhin-e-itaat Nahin Hogi Humse In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ab Bhi Tauhin-e-itaat Nahin Hogi Humse is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ab Bhi Tauhin-e-itaat Nahin Hogi Humse for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ab Bhi Tauhin-e-itaat Nahin Hogi Humse in PDF.