Azab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya

azab ye bhi kisi aur par nahin aaya

ki ek umr chale aur ghar nahin aaya

us ek KHwab ki hasrat mein jal bujhin aankhen

wo ek KHwab ki ab tak nazar nahin aaya

karen to kis se karen na-rasaiyon ka gila

safar tamam hua ham-safar nahin aaya

dilon ki baat badan ki zaban se kah dete

ye chahte the magar dil idhar nahin aaya

ajib hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafiq

bichhaD gaya to kabhi lauT kar nahin aaya

harim-e-lafz-o-maani se nisbaten bhi rahin

magar saliqa-e-arz-e-hunar nahin aaya

(1732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Azab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Azab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Azab Ye Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya in PDF.