Basti Bhi Samundar Bhi Bayaban Bhi Mera Hai

basti bhi samundar bhi bayaban bhi mera hai

aankhen bhi meri KHwab-e-pareshan bhi mera hai

jo Dubti jati hai wo kashti bhi hai meri

jo TuTta jata hai wo paiman bhi mera hai

jo hath uThe the wo sabhi hath the mere

jo chaak hua hai wo gireban bhi mera hai

jis ki koi aawaz na pahchan na manzil

wo qafila-e-be-sar-o-saman bhi mera hai

virana-e-maqtal pe hijab aaya to is bar

KHud chiKH paDa main ki ye unwan bhi mera hai

waraftagi-e-subh-e-bashaarat ko KHabar kya

andesha-e-sad-sham-e-ghariban bhi mera hai

main waris-e-gul hun ki nahin hun magar ai jaan

KHamyaza-e-tauhin-e-bahaaran bhi mera hai

miTTi ki gawahi se baDi dil ki gawahi

yun ho to ye zanjir ye zindan bhi mera hai

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basti Bhi Samundar Bhi Bayaban Bhi Mera Hai In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Basti Bhi Samundar Bhi Bayaban Bhi Mera Hai is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Basti Bhi Samundar Bhi Bayaban Bhi Mera Hai for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Basti Bhi Samundar Bhi Bayaban Bhi Mera Hai in PDF.