Junun Ka Rang Bhi Ho Shola-e-numu Ka Bhi Ho

junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho

sukut-e-shab mein ek andaz guftugu ka bhi ho

main jis ko apni gawahi mein le ke aaya hun

ajab nahin ki wahi aadmi adu ka bhi ho

wo jis ke chaak-e-gareban pe tohmaten hain bahut

usi ke hath mein shayad hunar rafu ka bhi ho

wo jis ke Dubte hi naw Dagmagane lagi

kise KHabar wahi tara sitara-ju ka bhi ho

subut-e-mohkami-e-jaan thi jis ki burrish-naz

usi ki tegh se rishta rag-e-gulu ka bhi ho

wafa ke bab mein kar-e-suKHan tamam hua

meri zamin pe ek marka lahu ka bhi ho

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Ka Rang Bhi Ho Shola-e-numu Ka Bhi Ho In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Junun Ka Rang Bhi Ho Shola-e-numu Ka Bhi Ho is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Junun Ka Rang Bhi Ho Shola-e-numu Ka Bhi Ho for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Junun Ka Rang Bhi Ho Shola-e-numu Ka Bhi Ho in PDF.