Koi Muzhda Na Bashaarat Na Dua Chahti Hai

koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai

roz ek taza KHabar KHalq-e-KHuda chahti hai

mauj-e-KHun sar se guzarni thi so wo bhi guzri

aur kya kucha-e-qatil ki hawa chahti hai

shahr-e-be-mehr mein lab-basta ghulamon ki qatar

nae aain-e-asiri ki bina chahti hai

koi bole ke na bole qadam uTThen na uThen

wo jo ek dil mein hai diwar uTha chahti hai

hum bhi labbaik kahen aur fasana ban jaen

koi aawaz sar-e-koh-e-nida chahti hai

yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke sath

ab ke KHud apni hawaon mein bujha chahti hai

ahd-e-asudgi-e-jaan mein bhi tha jaan se aziz

wo qalam bhi mere dushman ki ana chahti hai

bahr-e-pamali-e-gul aai hai aur mauj-e-KHizan

guftugu mein rawish-e-baad-e-saba chahti hai

KHak ko ham-sar-e-mahtab kiya raat ki raat

KHalq ab bhi wahi naqsh-e-kaf-e-pa chahti hai

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Muzhda Na Bashaarat Na Dua Chahti Hai In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Koi Muzhda Na Bashaarat Na Dua Chahti Hai is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Koi Muzhda Na Bashaarat Na Dua Chahti Hai for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Koi Muzhda Na Bashaarat Na Dua Chahti Hai in PDF.