Kuchh Bhi Nahin Kahin Nahin KHwab Ke IKHtiyar Mein

kuchh bhi nahin kahin nahin KHwab ke iKHtiyar mein

raat guzar di gai subh ke intizar mein

bab-e-ata ke samne ahl-e-kamal ka hujum

jin ko tha sar-kashi pe naz wo bhi isi qatar mein

jaise fasad-e-KHun se jild-e-badan pe dagh-e-bars

dil ki siyahiyan bhi hain daman-e-dagh-dar mein

waqt ki Thokaron mein hai uqda-kushaiyon ko zoam

kaisi ulajh rahi hai Dor naKHun-e-hoshyar mein

aaega aaega wo din ho ke rahega sab hisab

waqt bhi intizar mein KHalq bhi intizar mein

jaisi lagi thi dil mein aag waisi ghazal bani nahin

lafz Thahar nahin sake dard ki tez dhaar mein

(985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Nahin Kahin Nahin KHwab Ke IKHtiyar Mein In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Kuchh Bhi Nahin Kahin Nahin KHwab Ke IKHtiyar Mein is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Kuchh Bhi Nahin Kahin Nahin KHwab Ke IKHtiyar Mein for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Kuchh Bhi Nahin Kahin Nahin KHwab Ke IKHtiyar Mein in PDF.