Sar-e-baam-e-hijr Diya Bujha To KHabar Hui

sar-e-baam-e-hijr diya bujha to KHabar hui

sar-e-sham koi juda hua to KHabar hui

mera KHush-KHiram bala ka tez-KHiram tha

meri zindagi se chala gaya to KHabar hui

mere sare harf tamam harf azab the

mere kam-suKHan ne suKHan kiya to KHabar hui

koi baat ban ke bigaD gai to pata chala

mere bewafa ne karam kiya to KHabar hui

mere ham-safar ke safar ki samt hi aur thi

kahin rasta koi gum hua to KHabar hui

mere qissa-go ne kahan kahan se baDhai baat

mujhe dastan ka sira mila to KHabar hui

na lahu ka mausam-e-rang-rez na dil na main

koi KHwab tha ki bikhar gaya to KHabar hui

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-baam-e-hijr Diya Bujha To KHabar Hui In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Sar-e-baam-e-hijr Diya Bujha To KHabar Hui is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Sar-e-baam-e-hijr Diya Bujha To KHabar Hui for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Sar-e-baam-e-hijr Diya Bujha To KHabar Hui in PDF.