Aur Hawa Chup Rahi

shaKH-e-zaitun par kam-suKHan faKHtaon ke itne basere ujaDe gae

aur hawa chup rahi

be-karan aasmanon ki pihnaiyan be-nasheman shikasta paron ki tag-o-taz par bain karti rahin

aur hawa chup rahi

zard parcham uData hua lashkar-e-be-aman gul-zaminon ko pamal karta raha

aur hawa chup rahi

aarzumand aankhen bashaarat-talab dil duaon ko uTThe hue hath sab be-samar rah gae

aur hawa chup rahi

aur tab habs ke qaharman mausamon ke azab in zaminon pe bheje gae

aur munadi kara di gai

jab kabhi rang ki KHushbuon ki uDanon ki aawaz ki aur KHwabon ki tauhin ki jaegi

ye azab in zaminon pe aate rahenge

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Hawa Chup Rahi In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Aur Hawa Chup Rahi is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Aur Hawa Chup Rahi for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Aur Hawa Chup Rahi in PDF.