Ek KHwab Ki Duri Par

ek KHwahish thi

kabhi aisa ho

kabhi aisa ho ki andhere mein

(jab dil wahshat karta ho bahut

jab gham shiddat karta ho bahut)

koi tir chale

koi tir chale jo taraazu ho mere sine mein

ek KHwahish thi

kabhi aisa ho

kabhi aisa ho ki andhere mein

(jab ninden kam hoti hon bahut

jab aankhen nam hoti hon bahut)

sar-e-aina koi shama jale

koi shama jale aur bujh jae magar aks rahe aaine mein

ek KHwahish thi

wo KHwahish puri ho bhi chuki

dil jaise derina dushman ki sazish puri ho bhi chuki

aur ab yun hai

jine aur jite rahne ke bich ek KHwab ki

duri hai

wo duri KHatm nahin hoti

aur ye duri sab KHwab dekhne walon ki majburi hai

majburi KHatm nahin hoti

(1277) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab Ki Duri Par In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Ek KHwab Ki Duri Par is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Ek KHwab Ki Duri Par for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Ek KHwab Ki Duri Par in PDF.