Sahra Mein Ek Sham

dasht-e-be-naKHil mein

baad-e-be-lihaz ne

aisi KHak aDai hai

kuchh bhi sujhta nahin

hauslon ka saeban

raston ke darmiyan

kis tarah ujaD gaya

kaun kab bichhaD gaya

koi puchhta nahin

fasl-e-e'tibar mein

aatish-e-ghubar se

KHema-e-dua jala

daman-e-wafa jala

kis buri tarah jala

phir bhi zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin

kuchh bhi sujhta nahin

koi puchhta nahin

aur zindagi ka sath hai ki chhuTta nahin

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Mein Ek Sham In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Sahra Mein Ek Sham is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Sahra Mein Ek Sham for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Sahra Mein Ek Sham in PDF.