Shahr Ilm Ke Darwaze Par

kabhi kabhi dil ye sochta hai

na jaane hum be-yaqin logon ko nam-e-haidar se rabt kyun hai

hakim jaane wo kaisi hikmat se aashna tha

shajia jaane ki badar o KHaibar ki fath-mandi ka raaz kya tha

alim jaane wo ilm ke kaun se safinon ka na-KHuda tha

mujhe to bas sirf ye KHabar hai

wo mere maula ki KHushbuon mein racha-basa tha

wo un ke daman-e-atifat mein pala baDha tha

aur us ke din raat mere aaqa ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir the

wo raat ko dushmanon ke narghe mein so raha tha to un ki KHatir

jidal mein sar se panw tak surKH ho raha tha to un ki KHatir

so us ko mahbub jaanta hun

so us ko maqsud manta hun

saadaten us ke nam se hain

mohabbaten us ke nam se hain

mohabbaton ke sabhi gharanon ki nisbaten us ke nam se hain

(1281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ilm Ke Darwaze Par In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Shahr Ilm Ke Darwaze Par is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Shahr Ilm Ke Darwaze Par for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Shahr Ilm Ke Darwaze Par in PDF.