Andalibon Se Kabhi Gul Se Kabhi Leta Hun

andalibon se kabhi gul se kabhi leta hun

azm-e-bardasht dam-e-tishna-labi leta hun

tanz ki sard hawaen jo satati hain mujhe

shiddat-e-garmi-e-ehsas ko pi leta hun

zindagi baqi bhi apnon mein guzar jaegi

is liye talKHi-e-haalat ko pi leta hun

mujh pe sab log gunah Dal diya karte hain

kis liye kis ke liye dariya-dili leta hun

inkisari ne mujhe itni bulandi di hai

bhul kar bhi na kabhi rah-e-KHudi leta hun

(793) Peoples Rate This

Iftikhar Husain Rizwi Saeed's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Andalibon Se Kabhi Gul Se Kabhi Leta Hun In English By Famous Poet Iftikhar Husain Rizwi Saeed. Andalibon Se Kabhi Gul Se Kabhi Leta Hun is written by Iftikhar Husain Rizwi Saeed. Read famous Poem Andalibon Se Kabhi Gul Se Kabhi Leta Hun for youth and Student by Iftikhar Husain Rizwi Saeed. Free Download Andalibon Se Kabhi Gul Se Kabhi Leta Hun in PDF.