Tu Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah Jaega

tu nahin to zindagi mein aur kya rah jaega

dur tak tanhaiyon ka silsila rah jaega

kijiye kya guftugu kya un se mil kar sochiye

dil-shikasta KHwahishon ka zaiqa rah jaega

dard ki sari tahen aur sare guzre hadse

sab dhuan ho jaenge ek waqia rah jaega

ye bhi hoga wo mujhe dil se bhula dega magar

yun bhi hoga KHud usi mein ek KHala rah jaega

daere inkar ke iqrar ki sargoshiyan

ye agar TuTe kabhi to fasla rah jaega

(1163) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah Jaega In English By Famous Poet Iftikhar Imam Siddiqi. Tu Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah Jaega is written by Iftikhar Imam Siddiqi. Read famous Poem Tu Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah Jaega for youth and Student by Iftikhar Imam Siddiqi. Free Download Tu Nahin To Zindagi Mein Aur Kya Rah Jaega in PDF.