Apna Sara Bojh Zamin Par Phenk Diya

apna sara bojh zamin par phenk diya

tujh ko KHat likkha aur likh kar phenk diya

KHud ko sakin dekha Thahre pani mein

jaane kya kuchh soch ke patthar phenk diya

diwaren kyun KHali KHali lagti hain

kis ne sab kuchh ghar se bahar phenk diya

main to apna jism sukhane nikla tha

barish ne phir mujh pe samundar phenk diya

wo kaisa tha us ko kahan par dekha tha

apni aankhon ne har manzar phenk diya

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apna Sara Bojh Zamin Par Phenk Diya In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Apna Sara Bojh Zamin Par Phenk Diya is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Apna Sara Bojh Zamin Par Phenk Diya for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Apna Sara Bojh Zamin Par Phenk Diya in PDF.