Nam Bhi Jis Ka Zaban Par Tha Duaon Ki Tarah

nam bhi jis ka zaban par tha duaon ki tarah

wo mujhe milta raha na-ashnaon ki tarah

aa ki tere muntazir hain aaj bhi diwar-o-dar

gunjta hai ghar mein sannaTa sadaon ki tarah

wo shajar jalta raha KHud kis kaDakti dhup mein

jis ka saya tha mere sar par ghaTaon ki tarah

jhuk rahe the bagh ke sab phul us ke samne

ghas par baiTha tha wo farman-rawaon ki tarah

main bhala kaise use ek ajnabi kah dun 'nasim'

jis ne dekha tha palaT kar aashnaon ki tarah

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam Bhi Jis Ka Zaban Par Tha Duaon Ki Tarah In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Nam Bhi Jis Ka Zaban Par Tha Duaon Ki Tarah is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Nam Bhi Jis Ka Zaban Par Tha Duaon Ki Tarah for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Nam Bhi Jis Ka Zaban Par Tha Duaon Ki Tarah in PDF.