Ek MuKHtalif Kahani

juli kitni bholi thi

jab us ne izhaar kiya tha

apne andar ki KHwahish ka

is chhoTe se shahr ke

sare logon ne us par thuka tha

charch ke father ne

us ko

injil-e-muqaddas ke warqon se paDh ke sunaya

aurat nasl-e-insani ki KHatir duniya mein aai hai

us ke andar ki KHwahish to ek gunah hai

ye to kafi sal purana qissa hai

ab juli to bahut baDe ek shahr ke andar

aali-shan makan mein rahti hai

kabhi-kabhaar use jab

is chhoTe qasbe ki yaad satati hai to

kisi bhi qabristan mein ja kar

an-jaani qabron pe

phul chaDha kar

ghar ko wapas aa jati hai

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek MuKHtalif Kahani In English By Famous Poet Iftikhar Naseem. Ek MuKHtalif Kahani is written by Iftikhar Naseem. Read famous Poem Ek MuKHtalif Kahani for youth and Student by Iftikhar Naseem. Free Download Ek MuKHtalif Kahani in PDF.