Ek BaDi Jang LaD Raha Hun

ek baDi jang laD raha hun main

hans ke tujh se bichhaD raha hun main

jaise tum ne to kuchh kiya hi nahin

sare fitne ki jaD raha hun main

ek tere liye rafiq-e-dil

ek jahan se jhagaD raha hun main

zindagani meri sanwar jati

gar samajhta, bigaD raha hun main

kis ki KHatir ghazal ki chadar par

gauhar-e-fikr juD raha hun main

koi chashma kabhi to phuTega

apni eDi ragaD raha hun main

aap-apna harif hun 'raghib'

aap-apne se laD raha hun main

(708) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ek BaDi Jang LaD Raha Hun In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Ek BaDi Jang LaD Raha Hun is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Ek BaDi Jang LaD Raha Hun for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Ek BaDi Jang LaD Raha Hun in PDF.