Inkar Hi Kar Dijiye Iqrar Nahin To

inkar hi kar dijiye iqrar nahin to

uljhan hi mein mar jaega bimar nahin to

lagta hai ki pinjre mein hun duniya mein nahin hun

do roz se dekha koi aKHbar nahin to

duniya hamein nabud hi kar Dalegi ek din

hum honge agar ab bhi KHabar-dar nahin to

kuchh to rahe aslaf ki tahzib ki KHushbu

Topi hi laga lijiye dastar nahin to

hum barsar-e-paikar sitamgar se hamesha

rakhte hain qalam hath mein talwar nahin to

bhai ko hai bhai pe bharosa to bhala hai

aangan mein bhi uTh jaegi diwar nahin to

be-sud har ek qaul har ek sher hai 'raghib'

gar us ke muafiq tera kirdar nahin to

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Inkar Hi Kar Dijiye Iqrar Nahin To In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Inkar Hi Kar Dijiye Iqrar Nahin To is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Inkar Hi Kar Dijiye Iqrar Nahin To for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Inkar Hi Kar Dijiye Iqrar Nahin To in PDF.