Churane Ko Chura Laya Main Jalwe Ru-e-raushan Se

churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se

magar ab bijliyan lipTi hui hain dil ke daman se

tanawwo kuchh to ho ai bulbul-e-kam-zauq matam kya

agar tamir-e-sahra ho gai taKHrib gulshan se

mujhe kuchh tajrabe har rang ke jholi mein rakh chalna

musafir hun gharaz kya hai mujhe sahra o gulshan se

mujhe har karwan se chhuTna is bad-gumani mein

ki shayad rahbar ko rabt-e-pinhani ho rahzan se

mazaq-e-jazb-e-baatin gum hai ab tazin-e-zahir mein

ye tifl-e-dasht-e-aiman ghaT gaya tahzib-e-gulshan se

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Churane Ko Chura Laya Main Jalwe Ru-e-raushan Se In English By Famous Poet Ijtiba Rizvi. Churane Ko Chura Laya Main Jalwe Ru-e-raushan Se is written by Ijtiba Rizvi. Read famous Poem Churane Ko Chura Laya Main Jalwe Ru-e-raushan Se for youth and Student by Ijtiba Rizvi. Free Download Churane Ko Chura Laya Main Jalwe Ru-e-raushan Se in PDF.