Zuhur-e-paikri Sahra Mein Hai Sirf Ek Nishan Mera

zuhur-e-paikri sahra mein hai sirf ek nishan mera

ghubar-e-karwan hun dur nikla karwan mera

rasai marg-e-shauq-uftadgi nang-e-tan-asani

bala ki kashmakash hai aur ghubar-e-na-tawan mera

mujhe ghabra ke dosh-e-hasti-e-jawed par phenka

koi dam bhi na uTTha maut se bar-e-giran mera

mere saz-e-nafas ki KHamushi par ruh kahti hai

na aai mujh ko nind aur so gaya afsana-KHwan mera

KHarabi KHanda-zan hai koshish-e-tamir par meri

qafas ko toDta jata hai shauq-e-ashiyan mera

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zuhur-e-paikri Sahra Mein Hai Sirf Ek Nishan Mera In English By Famous Poet Ijtiba Rizvi. Zuhur-e-paikri Sahra Mein Hai Sirf Ek Nishan Mera is written by Ijtiba Rizvi. Read famous Poem Zuhur-e-paikri Sahra Mein Hai Sirf Ek Nishan Mera for youth and Student by Ijtiba Rizvi. Free Download Zuhur-e-paikri Sahra Mein Hai Sirf Ek Nishan Mera in PDF.