Tipu-sultan
nazar se aaj jo guzri hain chand taswiren
wo dil pe naqsh hain jaise lahu ki tahriren
basi hai jang-e-siranga-paTam aankhon mein
kisi shahid pe saya kiye hain shamshiren
ghulam qaum tujhe kuchh haya bhi aati hai
hain tere chand ye KHak-afgani ki tadbiren
tera charagh sar-e-sham bujh gaya lekin
sahar ke bhes mein phailengi us ki tanwiren
mere shahid tere na-e-pak se qaumen
karengi aaya-e-hubb-e-watan ki tafsiren
payam-e-sai-e-sar-afraazi-e-watan hai tu
shahid-o-ghazi-o-jarrar-o-saf-shikan hai tu
siyasat-e-watani ki faza thi zahr-alud
hawa-e-gharb thi na-sazgar-o-na-masud
sabah-e-daulat-e-taimuriya ki aai thi sham
paDa tha nayyar-e-iqbaal-e-hind sar-ba-sujud
gulon ko loriyan deta tha e'tibar-e-bahaar
chaman mein sabza-e-begana pa raha tha numud
hai tere baad teri yaad iftiKHar-e-watan
tera mazar hai sham-e-sar-e-mazar-e-watan
pukarti hain siranga-paTam ki diwaren
ki hum ko yaad hain wo goliyon ki bauchhaaren
dahan kushada hain choTon ke ghaw kya malum
ye kab hamiyat-e-hubb-e-watan ko lalkaren
shahid-e-zinda-e-jawed hain wahi sawant
jo nam-e-pak-e-watan par laDen maren maren
is ek jaan-e-girami pe lakh jaan sadqe
is ek maut pe sau umr-e-jawedan sadqe
(3989) Peoples Rate This