Kya Jaane Kis Ki Dhun Mein Raha Dil-figar Chand

kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand

sangam pe roz-o-shab ke Dhala bar bar chand

aai na raat bhar koi panghaT pe sanwli

pani mein chhup ke baiTha raha be-qarar chand

kirnon ki Doriyon se ulajhte ho kis liye

kuchh bhi na de sakega tujhe dagh-dar chand

bazu ke daere wo mahak chuDiyan khanak

do-sae zard-chandni dhimi pukar chand

suraj tha wo to sham se pahle hi Dhal gaya

nile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand

har roz mere ghar mein utarta hai kis liye

mujh ko bhi apne shahr mein ek din utar chand

basti ke log jaaniye kya sochte rahe

baadal ki chhat pe soya raha sogwar chand

ab chandni ke nam se nafrat si ho gai

'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaane Kis Ki Dhun Mein Raha Dil-figar Chand In English By Famous Poet Ikram Janjua. Kya Jaane Kis Ki Dhun Mein Raha Dil-figar Chand is written by Ikram Janjua. Read famous Poem Kya Jaane Kis Ki Dhun Mein Raha Dil-figar Chand for youth and Student by Ikram Janjua. Free Download Kya Jaane Kis Ki Dhun Mein Raha Dil-figar Chand in PDF.