Bagh Ek Din Ka Hai So Raat Nahin Aane Ki

bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki

wo pari phir se mere hat nahin aane ki

ab wo laDki nahin aane ki mere college mein

ab ke multan se saughat nahin aane ki

tum chali jao ye patthar nahin pahle jaisa

aankh se ju-e-munajat nahin aane ki

ab jo ye wasl hai is wasl ko be-kar samajh

hum pe rangini-e-haalat nahin aane ki

dekh lo khol ke khiDki ki zara der hain hum

dusri bar ye baraat nahin aane ki

ab tere baad faqat aab hi utrega yahan

ab ke barsat mein barsat nahin aane ki

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh Ek Din Ka Hai So Raat Nahin Aane Ki In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Bagh Ek Din Ka Hai So Raat Nahin Aane Ki is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Bagh Ek Din Ka Hai So Raat Nahin Aane Ki for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Bagh Ek Din Ka Hai So Raat Nahin Aane Ki in PDF.