Ghar Ko Jaane Ka Rasta Nahin Tha

ghar ko jaane ka rasta nahin tha

warna karne ko kya se kya nahin tha

mujhe kahta tha chhoD de mujh ko

aur mera hath chhoDta nahin tha

kaam sare durust the mere

jab mujhe koi Tokta nahin tha

log aaankhon se aate jate the

harf jab rasta bana nahin tha

tab kahin log jaante the mujhe

jab mujhe koi jaanta nahin tha

(703) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ghar Ko Jaane Ka Rasta Nahin Tha In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Ghar Ko Jaane Ka Rasta Nahin Tha is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Ghar Ko Jaane Ka Rasta Nahin Tha for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Ghar Ko Jaane Ka Rasta Nahin Tha in PDF.