Sirf Aazar UThane Se Kahan Banta Hai

sirf aazar uThane se kahan banta hai

mujh sa uslub zamane se kahan banta hai

aankh ko kaT ke kuchh nok-palak sidhi ki

zawiya sidh mein aane se kahan banta hai

kuchh na kuchh is mein haqiqat bhi chhipi hoti hai

waqia baat banane se kahan banta hai

husn-e-yusuf si koi jins bhi rakkho is mein

warna bazar sajaane se kahan banta hai

is mein kuchh wahshat-e-dil bhi to rakhi jati hai

bagh bas phul ugane se kahan banta hai

rasta banta hai tashkil-e-nazar se 'babar'

KHak ki KHak uDane se kahan banta hai

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sirf Aazar UThane Se Kahan Banta Hai In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Sirf Aazar UThane Se Kahan Banta Hai is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Sirf Aazar UThane Se Kahan Banta Hai for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Sirf Aazar UThane Se Kahan Banta Hai in PDF.