Ye Bahaar Wo Hai Jahan Rahi Asar-e-KHizan Se Bari Rahi

ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi

jo salib-o-dar mein Dhal gai wahi chob-e-KHushk hari rahi

mili jab kabhi KHabar-e-jahan to jahan se be-KHabari rahi

kisi aur se nahin kuchh gila KHajil apni dida-wari rahi

wahi ek KHarabi-e-be-karan jo tere jahan ka nasib hai

isi rust-o-KHez se aaj tak mere dil mein be-KHatari rahi

meri zindagi ki urus-e-nau tujhe is ki koi KHabar bhi hai

wo thi kis ki surKHi-e-KHun-e-dil teri mang mein jo bhari rahi

koi qarya koi dayar ho kahin hum akele nahin rahe

teri justuju mein jahan gae wahin sath dar-badari rahi

wahi aag apna nasib thi ki tamam umr jala kiye

jo lagai thi kabhi ishq ne wahi aag dil mein bhari rahi

wahi ek sadaqat-e-harf thi khili phul ban ke jo aag mein

wahi ek dalil-e-hayat thi jo gawah-e-ba-KHabari rahi

na asar fusun koi kar saka na wo mere dil mein utar saka

koi aks hi na ubhar saka raha shisha aur na pari rahi

main halak-e-lazzat-e-guftugu hi sahi magar ise kya karun

jo faraaz-e-dar se ki gai wahi ek baat khari rahi

hunar aaj 'ishqi'-e-be-nawa ka KHajil hai ruh-e-'siraj' se

wahi ek KHalish jo mata-e-fan thi subut-e-be-hunari rahi

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Bahaar Wo Hai Jahan Rahi Asar-e-KHizan Se Bari Rahi In English By Famous Poet Ilyas Ishqi. Ye Bahaar Wo Hai Jahan Rahi Asar-e-KHizan Se Bari Rahi is written by Ilyas Ishqi. Read famous Poem Ye Bahaar Wo Hai Jahan Rahi Asar-e-KHizan Se Bari Rahi for youth and Student by Ilyas Ishqi. Free Download Ye Bahaar Wo Hai Jahan Rahi Asar-e-KHizan Se Bari Rahi in PDF.