TimTimata Hua Mandir Ka Diya Ho Jaise

TimTimata hua mandir ka diya ho jaise

teri aankhon mein koi KHwab chhupa ho jaise

pher lin tum ne nigahen to ye mahsus hua

mujh se ruThi hui tasir-e-dua ho jaise

gunjti hai mere kanon mein yun aawaz teri

koh o sahra mein azanon ki sada ho jaise

apni nazren na jhukana ki guman hota hai

samne sar pe khaDi meri qaza ho jaise

un ke ruKHsat ka wo lamha mujhe yun lagta hai

waqt naraaz hua din bhi Dhala ho jaise

pas hote ho to mahsus yahi hota hai

umr bhar ki ye riyazat ka sila ho jaise

bhiD aisi hai kise sajda karun ai 'azam'

aaj ke daur mein har shaKHs KHuda ho jaise

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TimTimata Hua Mandir Ka Diya Ho Jaise In English By Famous Poet Imam Azam. TimTimata Hua Mandir Ka Diya Ho Jaise is written by Imam Azam. Read famous Poem TimTimata Hua Mandir Ka Diya Ho Jaise for youth and Student by Imam Azam. Free Download TimTimata Hua Mandir Ka Diya Ho Jaise in PDF.