Hai Mohabbat Sab Ko Uske Abru-e-KHamdar Ki

hai mohabbat sab ko us ke abru-e-KHamdar ki

hind mein kya aabru baqi rahi talwar ki

wasl ki shab chandni diwar se jaane na pae

minnaten karta hun har KHar-e-sar-e-diwar ki

ustura phirne se ru-e-yar par hai daur-e-KHat

chaal us kam-baKHt ne sikhi hai kya parkar ki

nashsha-e-mai ka guman karne laga wo bad-guman

dekh kar surKHi hamare dida-e-KHun-bar ki

ghar bhi mera muntazir hai yar ka meri tarah

rauzan-e-dar mein hai surat dida-e-bedar ki

kahte ho hum KHwab mein aate jo tu sota kabhi

KHub ki barbaad mehnat dida-e-bedar ki

bagh-e-alam mein kahan hai koi mujh sa rahm-dil

roz karta hun ayaadat nargis-e-bimar ki

dagh-e-sar hain josh-e-sauda mein ba-rang-e-gul mujhe

misl-e-gulbun panw mein kab hai shikayat KHar ki

wo KHuda ka dost hai aur dost hai us ka KHuda

kyun na ho 'nasiKH' mohabbat haidar-e-karrar ki

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Mohabbat Sab Ko Uske Abru-e-KHamdar Ki In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Hai Mohabbat Sab Ko Uske Abru-e-KHamdar Ki is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Hai Mohabbat Sab Ko Uske Abru-e-KHamdar Ki for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Hai Mohabbat Sab Ko Uske Abru-e-KHamdar Ki in PDF.