Zor Hai Garmi-e-bazar Tere Kuche Mein

zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein

jama hain tere KHaridar tere kuche mein

dekh kar tujh ko qadam uTh nahin sakta apna

ban gae surat-e-diwar tere kuche mein

panw phailae zamin par main paDa rahta hun

surat-e-saya-e-diwar tere kuche mein

go tu milta nahin par dil ke taqaze se hum

roz ho aate hain sau bar tere kuche mein

ek hum hain ki qadam rakh nahin sakte warna

ainDate phirte hain aghyar tere kuche mein

pasbanon ki tarah raaton ko be-tabi se

nale karte hain hum ai yar tere kuche mein

aarzu hai jo marun main to yahin dafn bhi hun

hai jagah thoDi si darkar tere kuche mein

gar yahi hain tere abru ke ishaare qatil

aaj-kal chalti hai talwar tere kuche mein

haal-e-dil kahne ka 'nasiKH' jo nahin pata bar

phenk jata hai wo ashaar tere kuche mein

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zor Hai Garmi-e-bazar Tere Kuche Mein In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Zor Hai Garmi-e-bazar Tere Kuche Mein is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Zor Hai Garmi-e-bazar Tere Kuche Mein for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Zor Hai Garmi-e-bazar Tere Kuche Mein in PDF.