Apni Jaan-bazi Ka Jis Dam Imtihan Ho Jaega

apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega

KHanjar-e-saffak par jauhar ayan ho jaega

aah-e-sozan ka agar uncha dhuan ho jaega

aasman ek aur zer-e-asman ho jaega

kuchh samajh kar us mah-e-KHubi se ki thi dosti

ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega

le KHabar bimar-e-gham ki warna ai rashk-e-masih

teri furqat mein firaq-e-jism-o-jaan ho jaega

KHak kar dega mujhe aaKHir siyah-chashmon ka ishq

jism-e-KHaki gard-e-pa-e-ahuwan ho jaega

jab ada se wo karega qatl mujh ko ai 'asar'

kushta-e-shamshir-e-hairat ek jahan ho jaega

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Jaan-bazi Ka Jis Dam Imtihan Ho Jaega In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Apni Jaan-bazi Ka Jis Dam Imtihan Ho Jaega is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Apni Jaan-bazi Ka Jis Dam Imtihan Ho Jaega for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Apni Jaan-bazi Ka Jis Dam Imtihan Ho Jaega in PDF.