Kyun Dekhiye Na Husn-e-KHuda-dad Ki Taraf

kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf

lazim nazar hai gulshan-e-ijad ki taraf

pae jo tere gosha-e-dastar ki hawa

qumri uDi na turra-e-shamshad ki taraf

be-asl ai falak nazar aata hai tu mujhe

karta hun ghaur jab teri buniyaad ki taraf

gulshan mein kaun bulbul-e-nalan ko de panah

gulchin o baghban bhi hain sayyaad ki taraf

mazlum hun magar nahin milta koi gawah

hain ahl-e-hashr is sitam-ijad ki taraf

nadan kahin panah nahin maut se tujhe

kya dekhta hai qila-e-faulad ki taraf

ham-jins ko zarur hai ham-jins ka KHayal

raghbat na ho bashar ko pari-zad ki taraf

mazmun kamar ka hath na aaya jo dahr mein

jaana paDa mujhe adam-abaad ki taraf

taklif ju-e-shir ki de kar jo thi KHajil

shirin na dekh sakti thi farhad ki taraf

diwangi ka zor tamasha hai ai pari

fassad ki nigah hai haddad ki taraf

gardan jhukae shauq-e-shahadat mein hun rawan

dil le chala hai kucha-e-jallad ki taraf

umid-war chashm-e-inayat ka hai gharib

dekho to ek nazar dil-e-nashad ki taraf

naseh agar sitam na sahen hum to kya karen

dil dauDta hai yar ki be-dad ki taraf

bulbul samajh rahi hai ki gulha-e-KHanda-ru

rakhte hain kan nala-o-fariyaad ki taraf

fazl-e-KHuda se apni tabiat hai be-niyaz

ru-e-talab kabhi na hua dad ki taraf

waiz se sun ke qamat-e-tauba ki KHubiyan

dauDa KHayal ek qad-e-azad ki taraf

bhule hue hain sare zamane ki nematen

mailan-e-dil jinhen hai teri yaad ki taraf

ya shah-e-jinn-o-ins 'asar' par bhi ek nazar

rakhta hai aankh aap ki imdad ki taraf

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Dekhiye Na Husn-e-KHuda-dad Ki Taraf In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Kyun Dekhiye Na Husn-e-KHuda-dad Ki Taraf is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Kyun Dekhiye Na Husn-e-KHuda-dad Ki Taraf for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Kyun Dekhiye Na Husn-e-KHuda-dad Ki Taraf in PDF.