Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain

zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain

dahan-e-zaKHm-e-qatil dam-ba-dam fariyaad karte hain

samajh kar kya asiran-e-qafas fariyaad karte hain

tawajjoh bhi kahin fariyaad par sayyaad karte hain

azab-e-qabr se pate hain rahat ishq ke mujrim

pas-e-murdan jafaen yar ki jab yaad karte hain

na kah bahr-e-KHuda tu bandagan-e-ishq ko kafir

buton ki yaad mein zahid KHuda ko yaad karte hain

zara sayyaad chal kar dekh tu kya haal hai un ka

asiran-e-qafas fariyaad par fariyaad karte hain

butan-e-sang-dil ke hath se dil hi nahin nalan

barabar dair mein naqus bhi fariyaad karte hain

banate hain hazaron zaKHm-e-KHandan KHanjar-e-gham se

dil-e-nashad ko hum is tarah pur-shad karte hain

mile lazzat jo iza se to baz aate hain iza se

sitam-ijad hain tarz-e-sitam ijad karte hain

'asar' ko dekh kar kya ruh ko sadma pahunchta hai

KHuda samjhe buton se kis qadar be-dad karte hain

(809) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Zaban-e-haal Se Hum Shikwa-e-bedad Karte Hain in PDF.