Baat Dil Ko Mere Lagi Nahin Hai

baat dil ko mere lagi nahin hai

mere bhai ye shaeri nahin hai

jaanti hai mere charagh ki lau

kaun se ghar mein raushni nahin hai

wo talluq bhi mustaqil nahin tha

ye mohabbat bhi daimi nahin hai

main jo qissa suna chuka to khula

koi diwar bolti nahin hai

dekhne wali aankh bhi to ho

kaun dariya mein jal-pari nahin hai

buzdila chhup ke war karta hai

tujh ko tahzib-e-dushmani nahin hai

kya karun is bahisht ko jis mein

ek botal sharab ki nahin hai

tujh se milna bhi hai nahin bhi mujhe

aur tabiat ulajh rahi nahin hai

kaun se shahr ke charagh ho tum

tum mein dam bhar ki raushni nahin hai

jis ka charcha hai shahr mein 'ami'

wo ghazal to abhi kahi nahin hai

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Dil Ko Mere Lagi Nahin Hai In English By Famous Poet Imran Aami. Baat Dil Ko Mere Lagi Nahin Hai is written by Imran Aami. Read famous Poem Baat Dil Ko Mere Lagi Nahin Hai for youth and Student by Imran Aami. Free Download Baat Dil Ko Mere Lagi Nahin Hai in PDF.