Jitne Pani Mein Koi Dub Ke Mar Sakta Hai

jitne pani mein koi Dub ke mar sakta hai

utna pani to meri ok mein bhar sakta hai

ye to main roz kinare pe khaDa sochta hun

pyas baDh sakti hai dariya bhi utar sakta hai

ek diya aur to kuchh kar nahin sakta lekin

shab ki diwar mein darwaza to kar sakta hai

husn-e-tartib se rakkhi hui yaadon ki taraf

dekhne wala kisi roz bikhar sakta hai

is ka titli sa badan dur se dekha jae

wo kisi hath mein aate hue mar sakta hai

tum zara soch ke us shaKHs pe takiya karna

wo farishta nahin wade se makr sakta hai

dil ko aankhon se ulajhne nahin deta 'ami'

warna dariya se samundar bhi guzar sakta hai

(1253) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jitne Pani Mein Koi Dub Ke Mar Sakta Hai In English By Famous Poet Imran Aami. Jitne Pani Mein Koi Dub Ke Mar Sakta Hai is written by Imran Aami. Read famous Poem Jitne Pani Mein Koi Dub Ke Mar Sakta Hai for youth and Student by Imran Aami. Free Download Jitne Pani Mein Koi Dub Ke Mar Sakta Hai in PDF.