Kuchh Ehtimam Na Tha Sham-e-gham Manane Ko

kuchh ehtimam na tha sham-e-gham manane ko

hawa ko bhej diya hai charagh lane ko

hamare KHwab salamat rahen tumhaare sath

ye baat kafi hai duniya ki nind uDane ko

hamara KHun kisi kaam ka nahin bhai

ye pani Thik hai lekin diye jalane ko

hamari rakh yunhi to nahin kuredte log

hamare pas koi baat hai chhupane ko

tere baghair bhi hum ji rahe hain aur KHush hain

ye baat kam to nahin hai tujhe jalane ko

hamare KHun se luThDe hue hain hath us ke

hamare sath mohabbat bhi hai zamane ko

wo jin ke pas koi aks bhi nahin 'ami'

taDap rahe hain mujhe aaina dikhane ko

(1123) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Ehtimam Na Tha Sham-e-gham Manane Ko In English By Famous Poet Imran Aami. Kuchh Ehtimam Na Tha Sham-e-gham Manane Ko is written by Imran Aami. Read famous Poem Kuchh Ehtimam Na Tha Sham-e-gham Manane Ko for youth and Student by Imran Aami. Free Download Kuchh Ehtimam Na Tha Sham-e-gham Manane Ko in PDF.