Parinda Aaine Se Kya LaDega

parinda aaine se kya laDega

fareb-e-zat mein aa kar marega

mohabbat bhi baDi lambi saDak hai

barhana-pa koi kitna chalega

hamare jagne tak dekhna tum

hamare KHwab ka charcha rahega

hamari KHak se duniya bani thi

hamari rakh se ab kya banega

ye chingari bhaDak uTThegi ek din

miyan ye ishq hai ho kar rahega

tujhe duniya ki aadat paD gai hai

akela rah gaya to kya karega

main tere sath mar sakta hun lekin

tu mere sath kya zinda rahega

abhi se soch lo KHana-badosho

hamari rah mein sahra paDega

samundar ne rawani sikh li hai

mere dariya tumhaara kya banega

(2104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parinda Aaine Se Kya LaDega In English By Famous Poet Imran Aami. Parinda Aaine Se Kya LaDega is written by Imran Aami. Read famous Poem Parinda Aaine Se Kya LaDega for youth and Student by Imran Aami. Free Download Parinda Aaine Se Kya LaDega in PDF.