Hamari Mohabbat Numu Se Nikal Kar Kali Ban Gai Thi Magar Thi Numu Mein

hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein

nigahon se baaten kiye ja rahe the aTakti jhijakti hui guftugu mein

na de hum ko ilzam tu ye ki hum ne teri chah mein kuchh kiya hi nahin hai

makan khod Dale zaman noch Dale kahan aa gae hum teri justuju mein

mujhe ye mila hai mujhe wo mila hai mujhe sab mila hai magar ye gila hai

main kya mangta tha ye kya mil gaya hai ki sab mil gaya hai teri aarzu mein

kahin KHushbuon ki zarurat paDi to tumhein soch kar sans khinche gae hain

na jaane kahan se chali aa rahi hai ye KHushbu tumhaari hamare lahu mein

bhaTakta phira main idhar se udhar aur udhar se idhar aur kidhar se kidhar

dhuan-dar mahfil na jam o subu mein maza jo hai wo hai faqat apni KHu mein

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamari Mohabbat Numu Se Nikal Kar Kali Ban Gai Thi Magar Thi Numu Mein In English By Famous Poet Imran Shamshad. Hamari Mohabbat Numu Se Nikal Kar Kali Ban Gai Thi Magar Thi Numu Mein is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Hamari Mohabbat Numu Se Nikal Kar Kali Ban Gai Thi Magar Thi Numu Mein for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Hamari Mohabbat Numu Se Nikal Kar Kali Ban Gai Thi Magar Thi Numu Mein in PDF.