Kabhi Pairon Se Aankhon Tak Chubhan Mahsus Hoti Hai

kabhi pairon se aankhon tak chubhan mahsus hoti hai

kabhi ye zindagi mujh ko chaman mahsus hoti hai

masafat ne musafir se kaha tu thak raha hai kyun

thakan mahsus karne se thakan mahsus hoti hai

to phir main sochta hun ruh ki pakizgi kya hai

mohabbat jab mujhe apna badan mahsus hoti hai

buland-o-baala lagti hai kabhi ye aasman jitni

kabhi ye chhat mujhe apna kafan mahsus hoti hai

wahan miTTi-tale main hae kaise sans khinchunga

mujhe taza hawa mein bhi ghuTan mahsus hoti hai

na aankhon mein wo pahle sa koi fawwara uThta hai

na sine mein wo pahli si jalan mahsus hoti hai

ye duniya pahle bhi KHud mein magan mahsus hoti thi

ye duniya aaj bhi KHud mein magan mahsus hoti hai

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Pairon Se Aankhon Tak Chubhan Mahsus Hoti Hai In English By Famous Poet Imran Shamshad. Kabhi Pairon Se Aankhon Tak Chubhan Mahsus Hoti Hai is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Kabhi Pairon Se Aankhon Tak Chubhan Mahsus Hoti Hai for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Kabhi Pairon Se Aankhon Tak Chubhan Mahsus Hoti Hai in PDF.