Yun BhaTakne Mein Ki Hai Basar Zindagi

yun bhaTakne mein ki hai basar zindagi

jaise aa jaegi rah par zindagi

ye karo wo nahin wo karo ye nahin

Tokti hi rahi umr bhar zindagi

is taraf chal diye to kisi ne kaha

us taraf aaiye hai udhar zindagi

is taraf jaiye us taraf jaiye

kis taraf jaiye hai kidhar zindagi

taulti bhi rahi Dolti bhi rahi

kuchh idhar zindagi kuchh udhar zindagi

kuchh pata to chale kuchh KHabar to mile

hum kidhar ja rahe hain kidhar zindagi

hum nahin jaante ye nahin jaante

hai KHabar-dar-KHabar be-KHabar zindagi

hai kahin saikDon ekDon ka mahal

aur kahin ek kamre ka ghar zindagi

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun BhaTakne Mein Ki Hai Basar Zindagi In English By Famous Poet Imran Shamshad. Yun BhaTakne Mein Ki Hai Basar Zindagi is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Yun BhaTakne Mein Ki Hai Basar Zindagi for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Yun BhaTakne Mein Ki Hai Basar Zindagi in PDF.