Duniya Bhar Ke Dukh Ka Hasil

KHali kamra

gahri sansen

kamre ke ek kone mein ek TuTi-phuTi mez

mez pe duniya bhar ka gorakh-dhanda

kaTh-kabaD

kaTh-kabaD se thoDa aage tirchha paper-weight

paper-weight ke niche kaghaz

kaghaz par lafzon ka Dher

Dher ke pas ek TuTi ainak

ainak ke shishon ke pichhe moTe moTe harf

ainak ke shishon se aage nile pile kale dhabbe

dhabbon mein aundhe munh leTi aish-tray mein murda sansen bujhti cigarette

aur machis ki aadhi tili

machis ki tili pe chipka chae ka chhilka

aur ek TuTi DanDi ka cup

cup se aage mez ka kona

mez se aage jhulti kursi

kursi par ek shaKHs

shaKHs bhi wo jis ki aankhon mein duniya bhar ka dukh

duniya bhar ke dukh ka hasil

duniya bhar ka dukh!!

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Bhar Ke Dukh Ka Hasil In English By Famous Poet Imran Shamshad. Duniya Bhar Ke Dukh Ka Hasil is written by Imran Shamshad. Read famous Poem Duniya Bhar Ke Dukh Ka Hasil for youth and Student by Imran Shamshad. Free Download Duniya Bhar Ke Dukh Ka Hasil in PDF.